baad-e-saba ye zulm khuda-ra na keejiyo
is bewafa se zikr hamaara na keejiyo
gham ki kami nahin hai jahaan-e-kharaab mein
ai dil taras taras ke guzaara na keejiyo
ai saahab-e-urooj tu baam-e-urooj se
suraj ke doobne ka nazaara na keejiyo
aisa na ho ki log hamein poojne lagen
itna bhi ehtiraam hamaara na keejiyo
saahil agar naseeb bhi ho jaaye ai hafiz
toofaan se bhool kar bhi kinaara na keejiyo
बाद-ए-सबा ये ज़ुल्म ख़ुदा-रा न कीजियो
इस बेवफ़ा से ज़िक्र हमारा न कीजियो
ग़म की कमी नहीं है जहान-ए-ख़राब में
ऐ दिल तरस तरस के गुज़ारा न कीजियो
ऐ साहब-ए-उरूज तू बाम-ए-उरूज से
सूरज के डूबने का नज़ारा न कीजियो
ऐसा न हो कि लोग हमें पूजने लगें
इतना भी एहतिराम हमारा न कीजियो
साहिल अगर नसीब भी हो जाए ऐ 'हफ़ीज़'
तूफ़ाँ से भूल कर भी किनारा न कीजियो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Merathi
our suggestion based on Hafeez Merathi
As you were reading Kismat Shayari Shayari