ishq kar ke dekh li jo bebaasi dekhi na thi | इश्क़ कर के देख ली जो बेबसी देखी न थी

  - Hakeem Nasir

ishq kar ke dekh li jo bebaasi dekhi na thi
is qadar uljhan mein pehle zindagi dekhi na thi

ye tamasha bhi ajab hai un ke uth jaane ke baad
main ne din mein is se pehle teergi dekhi na thi

aap kya aaye ki ruksat sab andhere ho gaye
is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi

aap se aankhen mili theen phir na jaane kya hua
log kahte hain ki aisi be-khudi dekhi na thi

mujh ko ruksat kar rahe hain vo ajab andaaz se
aankh mein aansu labon par ye hasi dekhi na thi

kis qadar khush hoon main naasir un ko pa lene ke baad
aisa lagta hai kabhi aisi khushi dekhi na thi

इश्क़ कर के देख ली जो बेबसी देखी न थी
इस क़दर उलझन में पहले ज़िंदगी देखी न थी

ये तमाशा भी अजब है उन के उठ जाने के बाद
मैं ने दिन में इस से पहले तीरगी देखी न थी

आप क्या आए कि रुख़्सत सब अंधेरे हो गए
इस क़दर घर में कभी भी रौशनी देखी न थी

आप से आँखें मिली थीं फिर न जाने क्या हुआ
लोग कहते हैं कि ऐसी बे-ख़ुदी देखी न थी

मुझ को रुख़्सत कर रहे हैं वो अजब अंदाज़ से
आँख में आँसू लबों पर ये हँसी देखी न थी

किस क़दर ख़ुश हूँ मैं 'नासिर' उन को पा लेने के बाद
ऐसा लगता है कभी ऐसी ख़ुशी देखी न थी

  - Hakeem Nasir

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hakeem Nasir

As you were reading Shayari by Hakeem Nasir

Similar Writers

our suggestion based on Hakeem Nasir

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari