zara si der ko ham kya sharaafat par utar aaye
ye buzdil log bhi hamse bagaavat par utar aaye
mujhe barbaad karne ki raheen jab saazishein naakaam
mere dushman mujhi se phir mohabbat par utar aaye
t'alluq khatm hone mein abhi kuchh waqt baaki hai
main itna chahta hoon vo shikaayat par utar aaye
teri tasveer bhi hoti to kuchh din kaam chal jaata
yun hi thodi na ham kaafir ibadat par utar aaye
aziyyat mein bhi vo daaman isee khaatir nahin chhodaa
kabhi shaayad vo khush hokar inaayat par utar aaye
ziyaada bhi mulaqaatein nahin achhi kise maaloom
mohabbat ye badan ki kab zaroorat par utar aaye
miyaan ab sha'iri chhodo kamaane ka bhi kuchh socho
kahi aisa na ho dilbar bhi daulat par utar aaye
ज़रा सी देर को हम क्या शराफ़त पर उतर आए
ये बुज़दिल लोग भी हमसे बग़ावत पर उतर आए
मुझे बर्बाद करने की रहीं जब साज़िशें नाकाम
मेरे दुश्मन मुझी से फिर मोहब्बत पर उतर आए
त'अल्लुक़ ख़त्म होने में अभी कुछ वक़्त बाक़ी है
मैं इतना चाहता हूँ वो शिकायत पर उतर आए
तेरी तस्वीर भी होती तो कुछ दिन काम चल जाता
यूँ ही थोड़ी न हम काफ़िर इबादत पर उतर आए
अज़िय्यत में भी वो दामन इसी ख़ातिर नहीं छोड़ा
कभी शायद वो ख़ुश होकर इनायत पर उतर आए
ज़ियादा भी मुलाक़ातें नहीं अच्छी किसे मालूम
मोहब्बत ये बदन की कब ज़रूरत पर उतर आए
मियाँ अब शा'इरी छोड़ो कमाने का भी कुछ सोचो
कहीं ऐसा न हो दिलबर भी दौलत पर उतर आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Harsh saxena
our suggestion based on Harsh saxena
As you were reading Nafrat Shayari Shayari