dekhna bhi to unhen door se dekha karna | देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना - Hasrat Mohani

dekhna bhi to unhen door se dekha karna
shewa-e-ishq nahin husn ko rusva karna

ik nazar bhi tiri kaafi thi p-e-rahat-e-jaan
kuch bhi dushwaar na tha mujh ko shakeba karna

un ko yaa vaade pe aa lene de ai abr-e-bahaar
jis qadar chaahna phir baad mein barsa karna

shaam ho ya ki sehar yaad unhin ki rakhni
din ho ya raat humein zikr unhin ka karna

saum zaahid ko mubarak rahe aabid ko salaath
aasiyon ko tiri rahmat pe bharosa karna

aashiqo husn-e-jafaakaar ka shikwa hai gunaah
tum khabardaar khabardaar na aisa karna

kuch samajh mein nahin aata ki ye kya hai hasrat
un se mil kar bhi na izhaar-e-tamannaa karna

देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना
शेवा-ए-इश्क़ नहीं हुस्न को रुस्वा करना

इक नज़र भी तिरी काफ़ी थी प-ए-राहत-ए-जाँ
कुछ भी दुश्वार न था मुझ को शकेबा करना

उन को याँ वादे पे आ लेने दे ऐ अब्र-ए-बहार
जिस क़दर चाहना फिर बाद में बरसा करना

शाम हो या कि सहर याद उन्हीं की रखनी
दिन हो या रात हमें ज़िक्र उन्हीं का करना

सौम ज़ाहिद को मुबारक रहे आबिद को सलात
आसियों को तिरी रहमत पे भरोसा करना

आशिक़ो हुस्न-ए-जफ़ाकार का शिकवा है गुनाह
तुम ख़बरदार ख़बरदार न ऐसा करना

कुछ समझ में नहीं आता कि ये क्या है 'हसरत'
उन से मिल कर भी न इज़हार-ए-तमन्ना करना

- Hasrat Mohani
2 Likes

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hasrat Mohani

As you were reading Shayari by Hasrat Mohani

Similar Writers

our suggestion based on Hasrat Mohani

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari