krishna
mathura ki nagar hai aashiqi ka
dam bharti hai aarzoo isee ka
har zarra-e-sar-zameen-e-gokul
daara hai jamaal-e-dilbari ka
barsaana-o-nand-gaanv mein bhi
dekh aaye hain jalwa ham kisi ka
paigham-e-hayat-e-javedaan tha
har naghma-e-krishna baansuri ka
vo noor-e-siyaah ya ki hasrat
sar-chashma farogh-e-aagahi ka
"कृष्ण"
मथुरा कि नगर है आशिक़ी का
दम भरती है आरज़ू इसी का
हर ज़र्रा-ए-सर-ज़मीन-ए-गोकुल
दारा है जमाल-ए-दिलबरी का
बरसाना-ओ-नंद-गाँव में भी
देख आए हैं जल्वा हम किसी का
पैग़ाम-ए-हयात-ए-जावेदाँ था
हर नग़्मा-ए-कृष्ण बाँसुरी का
वो नूर-ए-सियाह या कि हसरत
सर-चश्मा फ़रोग़-ए-आगही का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hasrat Mohani
our suggestion based on Hasrat Mohani
As you were reading Shehar Shayari Shayari