raasta kis jagah nahin hota
sirf hamko pata nahin hota
ab bhalon ka bhala nahin hota
ab buron ka bura nahin hota
barson rut ke mizaaj sahta hai
ped yun hi bada nahin hota
chhod den raasta hi dar ke ham
ye koi raasta nahin hota
ek naatak hai zindagi yaaro
kaun behrupiya nahin hota
khauf raahon se kislie hasti
haadsa ghar mein kya nahin hota
रास्ता किस जगह नहीं होता
सिर्फ़ हमको पता नहीं होता
अब भलों का भला नहीं होता
अब बुरों का बुरा नहीं होता
बरसों रुत के मिज़ाज सहता है
पेड़ यूँ ही बड़ा नहीं होता
छोड़ दें रास्ता ही डरके हम
ये कोई रास्ता नहीं होता
एक नाटक है ज़िंदगी यारो
कौन बहरुपिया नहीं होता
ख़ौफ़ राहों से किसलिए 'हस्ती'
हादसा घर में क्या नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hastimal Hasti
our suggestion based on Hastimal Hasti
As you were reading Shajar Shayari Shayari