nazm mohabbaton ke phool
main jab kabhi dil ki udaasiyon se pareshaan hokar
koi khushi dhundhta hoon to tum milte ho
milte ho un haseen khwaabon mein
jahaan meri hi banaai ik shaant duniya hai
vo duniya jise main chahta hoon ki vo
khwaab se nikalkar baahar aa jaaye
aa jaaye aur ye duniya jahaan ham rah rahe hain
jin uljhnon mein uljhe hue ham jeena bhool gaye hain
jahaan apne dil ki khushi ke liye
kuchh karna maano ik jurm hai
is duniya se nikalkar
ham apni duniya mein rahne lagen
rahne lagen jaise chaand ke saath mein taare rahte hain
vaise hi jaise paani mein ghula hua paani
vaise hi jaise aag ke saath dhuaan
vaise hi jaise baati aur lau
vaise hi jaise jism mein rooh rahti hai
dukh takleefon mein bhi khil uthe
jis tarah keechad mein kamal ka phool
phool jis par mohabbat ke liye
door door se makkhiyaan aati hain
usi tarah ham milkar itni mohabbat se rahein
ki shahad ke jaise zindagi ki mithaas ho jaaye
ho jaaye sab ik gulaab ke jaisa
khilkhilaata muskurata mahakta lubhaata
ye aisa khwaab hai jo haqeeqat mein chahiye ki haqeeqat ho jaaye
aur main khuda se kahoon ki teri banaai duniya se
to mujhe dard takleef gham hi mile hain
mujhe bakhsh de mere khwaabon ki vo duniya
jahaan meri mohabbaton ke phool khile hain
नज़्म: मोहब्बतों के फूल
मैं जब कभी दिल की उदासियों से परेशान होकर
कोई ख़ुशी ढूॅंढता हूॅं तो तुम मिलते हो
मिलते हो उन हसीन ख़्वाबों में
जहाँ मेरी ही बनाई इक शांत दुनिया है
वो दुनिया जिसे मैं चाहता हूॅं कि वो
ख़्वाब से निकलकर बाहर आ जाए
आ जाए और ये दुनिया जहाँ हम रह रहे हैं
जिन उलझनों में उलझे हुए हम जीना भूल गए हैं
जहाँ अपने दिल की ख़ुशी के लिए
कुछ करना मानो इक जुर्म है
इस दुनिया से निकलकर
हम अपनी दुनिया में रहने लगें
रहने लगें जैसे चाँद के साथ में तारे रहते हैं
वैसे ही जैसे पानी में घुला हुआ पानी
वैसे ही जैसे आग के साथ धुआँ
वैसे ही जैसे बाती और लौ
वैसे ही जैसे जिस्म में रूह रहती है
दुख, तकलीफ़ों में भी खिल उठें
जिस तरह कीचड़ में कमल का फूल
फूल जिस पर मोहब्बत के लिए
दूर दूर से मक्खियाँ आती हैं
उसी तरह हम मिलकर इतनी मोहब्बत से रहें
कि शहद के जैसे ज़िंदगी की मिठास हो जाए
हो जाए सब इक गुलाब के जैसा
खिलखिलाता, मुस्कुराता, महकता, लुभाता,
ये ऐसा ख़्वाब है जो हक़ीक़त में चाहिए कि हक़ीक़त हो जाए
और मैं ख़ुदा से कहूॅं कि तेरी बनाई दुनिया से
तो मुझे दर्द, तकलीफ़, ग़म ही मिले हैं
मुझे बख़्श दे मेरे ख़्वाबों की वो दुनिया
जहाँ मेरी मोहब्बतों के फूल खिले हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shubham Burmen
our suggestion based on Shubham Burmen
As you were reading Aag Shayari Shayari