main sab se ulfat bhi karta hoon | मैं सब से उल्फ़त भी करता हूँ - Saagar Singh Rajput

main sab se ulfat bhi karta hoon
main sab se nafrat bhi karta hoon

apnon se ladta rehta hoon par
apnon kii khidmat bhi karta hoon

jab koii achha lag jaata hai
to uski izzat bhi karta hoon

khaata peeta hoon jee bhar ke main
par thodi kasrat bhi karta hoon

main sach mein thoda sa hoon ghaafil
par dil se mehnat bhi karta hoon

tanhaai achhi lagti hai par
mehfil mein shirkat bhi karta hoon

dushman kehta hoon saagar ko main
saagar kii sohbat bhi karta hoon

मैं सब से उल्फ़त भी करता हूँ
मैं सब से नफ़रत भी करता हूँ

अपनों से लड़ता रहता हूँ पर
अपनों की ख़िदमत भी करता हूँ

जब कोई अच्छा लग जाता है
तो उसकी इज़्ज़त भी करता हूँ

खाता पीता हूँ जी भर के मैं
पर थोड़ी कसरत भी करता हूँ

मैं सच में थोड़ा सा हूँ ग़ाफ़िल
पर दिल से मेहनत भी करता हूँ

तन्हाई अच्छी लगती है पर
महफ़िल में शिरकत भी करता हूँ

दुश्मन कहता हूँ 'सागर' को मैं
'सागर' की सोहबत भी करता हूँ

- Saagar Singh Rajput
1 Like

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari