ghar kii qismat mein dhhana tha yaaro | घर की क़िस्मत में ढहना था यारो

  - Saagar Singh Rajput

ghar kii qismat mein dhhana tha yaaro
gham barbaadi ka sahna tha yaaro

mera likkha jo duniya padhti hai
bas ik ladki se kehna tha yaaro

us dil ne mujhko dil se thukraaya
jis dil mein mujhko rahna tha yaaro

saagar thehra hai saagar ke jaise
saagar ko to bas bahna tha yaaro

घर की क़िस्मत में ढहना था यारो
ग़म बर्बादी का सहना था यारो

मेरा लिक्खा जो दुनिया पढ़ती है
बस इक लड़की से कहना था यारो

उस दिल ने मुझको दिल से ठुकराया
जिस दिल में मुझको रहना था यारो

सागर ठहरा है सागर के जैसे
सागर को तो बस बहना था यारो

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari