samay ne mujhe aazmaaya bahut hai | समय ने मुझे आज़माया बहुत है

  - Saagar Singh Rajput

samay ne mujhe aazmaaya bahut hai
sitam zindagi ne bhi dhaaya bahut hai

mujhe phir bhi is se nahin hai gila kuchh
magar maanta hoon sataaya bahut hai

kabhi gar miloonga main us se kahunga
tiri yaad ne jaan rulaaya bahut hai

na kehna kisi se kabhi baat ye tum
mere saath tum ne nibhaaya bahut hai

kabhi jis kii khaatir bhulaai thi duniya
wahi shakhs mujh se paraaya bahut hai

main kehta nahin hoon magar hai yahi sach
ki tum ne mera dil dukhaaya bahut hai

mujhe bewafa se nahin hai gila kuchh
magar bewafa ne sataaya bahut hai

sabhi is haqeeqat se waakif yahan hain
ki maa baap ka sar pe saaya bahut hai

ameeron ne saagar gharibon kii khaatir
kiya kuchh nahin par jataaya bahut hai

समय ने मुझे आज़माया बहुत है
सितम ज़िंदगी ने भी ढाया बहुत है

मुझे फिर भी इस से नहीं है गिला कुछ
मगर मानता हूँ सताया बहुत है

कभी गर मिलूँगा मैं उस से कहूँगा
तिरी याद ने जाँ रुलाया बहुत है

न कहना किसी से कभी बात ये तुम
मिरे साथ तुम ने निभाया बहुत है

कभी जिस की ख़ातिर भुलाई थी दुनिया
वही शख़्स मुझ से पराया बहुत है

मैं कहता नहीं हूँ मगर है यही सच
कि तुम ने मिरा दिल दुखाया बहुत है

मुझे बेवफ़ा से नहीं है गिला कुछ
मगर बेवफ़ा ने सताया बहुत है

सभी इस हक़ीक़त से वाकिफ़ यहाँ हैं
कि माँ बाप का सर पे साया बहुत है

अमीरों ने 'सागर' ग़रीबों की ख़ातिर
किया कुछ नहीं पर जताया बहुत है

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari