use ik bhi nahin milta jo marta hai hazaaron par | उसे इक भी नहीं मिलता जो मरता है हज़ारों पर

  - Saagar Singh Rajput

use ik bhi nahin milta jo marta hai hazaaron par
agar hai chaand kii khwaahish nazar rakhna na taaron par

kisi ke saamne jhukna zara sa soch ke varna
badi zalim hai ye duniya nachaayegi ishaaron par

bhala is desh ka karne batao kaun aayega
agar marta rahega naujavaan filmi sitaaron par

muhabbat mein tumhein dhokha agar khaana nahin yaaro
nazar rakhna hamesha yaar ke ummeedwaaron par

diya khud ka jalana jab ujaale kii zaroorat ho
bharosa tum nahin karna falak ke chaand taaron par

siva marne ke koii aur rasta tha nahin saagar
kisaano ne bharosa kar liya tha taajdaaron par

उसे इक भी नहीं मिलता जो मरता है हज़ारों पर
अगर है चाँद की ख़्वाहिश नज़र रखना न तारों पर

किसी के सामने झुकना ज़रा सा सोच के वरना
बड़ी ज़ालिम है ये दुनिया नचाएगी इशारों पर

भला इस देश का करने बताओ कौन आएगा
अगर मरता रहेगा नौजवाँ फ़िल्मी सितारों पर

मुहब्बत में तुम्हें धोखा अगर खाना नहीं यारो
नज़र रखना हमेशा यार के उम्मीदवारों पर

दिया ख़ुद का जलाना जब उजाले की ज़रूरत हो
भरोसा तुम नहीं करना फ़लक के चाँद तारों पर

सिवा मरने के कोई और रस्ता था नहीं सागर
किसानों ने भरोसा कर लिया था ताजदारों पर

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari