zakhm gehre hon agar to muskurana seekh lo | ज़ख़्म गहरे हों अगर तो मुस्कुराना सीख लो

  - Saagar Singh Rajput

zakhm gehre hon agar to muskurana seekh lo
yaad karna baad mein pehle bhulaana seekh lo

paan khaane mein maza aata nahin choona ke bin
zindagi bhi paan hai choona lagana seekh lo

ishq bhi ik jang hai aur jang hai gar jeetni
dilruba ke saamne sar ko jhukaana seekh lo

maan bhi mil jaayega sammaan bhi mil jaayega
haakimon kii haan mein haan yaaro milaana seekh lo

aaj bhi raavan vibhiishan hain gharo mein doston
ek se kul ek se ghar ko bachaana seekh lo

mashwara ik kaam ka deta hoon tumko aaj main
paas rahna hai agar to door jaana seekh lo

ishq karna hai bahut aasaan duniya mein magar
ishq karne se bahut pehle nibhaana seekh lo

zindagi kab tak guzaaroge kisi se maang kar
isliye saagar zara tum bhi kamaana seekh lo

ज़ख़्म गहरे हों अगर तो मुस्कुराना सीख लो
याद करना बाद में पहले भुलाना सीख लो

पान खाने में मज़ा आता नहीं चूना के बिन
ज़िंदगी भी पान है चूना लगाना सीख लो

इश्क़ भी इक जंग है और जंग है गर जीतनी
दिलरुबा के सामने सर को झुकाना सीख लो

मान भी मिल जाएगा सम्मान भी मिल जाएगा
हाकिमों की हाँ में हाँ यारो मिलाना सीख लो

आज भी रावण विभीषण हैं घरों में दोस्तों
एक से कुल एक से घर को बचाना सीख लो

मशवरा इक काम का देता हूँ तुमको आज मैं
पास रहना है अगर तो दूर जाना सीख लो

इश्क़ करना है बहुत आसान दुनिया में मगर
इश्क़ करने से बहुत पहले निभाना सीख लो

ज़िंदगी कब तक गुज़ारोगे किसी से माँग कर
इसलिए सागर ज़रा तुम भी कमाना सीख लो

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari