dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho | दिल हिज्र के दर्द से बोझल है अब आन मिलो तो बेहतर हो

  - Ibn E Insha

dil hijr ke dard se bojhal hai ab aan milo to behtar ho
is baat se ham ko kya matlab ye kaise ho ye kyunkar ho

ik bheek ke dono kaase hain ik pyaas ke dono pyaase hain
ham kheti hain tum baadal ho ham nadiyaan hain tum saagar ho

ye dil hai ki jalte seene mein ik dard ka phoda allahad sa
na gupt rahe na phoot bahe koi marham ho koi nishtar ho

ham saanjh samay ki chaaya hain tum chadhti raat ke chandramaan
ham jaate hain tum aate ho phir mel ki soorat kyunkar ho

ab husn ka rutba aali hai ab husn se sehra khaali hai
chal basti mein banjaara ban chal nagri mein saudaagar ho

jis cheez se tujh ko nisbat hai jis cheez ki tujh ko chaahat hai
vo sona hai vo heera hai vo maati ho ya kankar ho

ab insha'-ji ko bulaana kya ab pyaar ke deep jalana kya
jab dhoop aur chaaya ek se hon jab din aur raat barabar ho

vo raatein chaand ke saath gaeein vo baatein chaand ke saath gaeein
ab sukh ke sapne kya dekhen jab dukh ka suraj sar par ho

दिल हिज्र के दर्द से बोझल है अब आन मिलो तो बेहतर हो
इस बात से हम को क्या मतलब ये कैसे हो ये क्यूँकर हो

इक भीक के दोनों कासे हैं इक प्यास के दोनो प्यासे हैं
हम खेती हैं तुम बादल हो हम नदियाँ हैं तुम सागर हो

ये दिल है कि जलते सीने में इक दर्द का फोड़ा अल्लहड़ सा
ना गुप्त रहे ना फूट बहे कोई मरहम हो कोई निश्तर हो

हम साँझ समय की छाया हैं तुम चढ़ती रात के चन्द्रमाँ
हम जाते हैं तुम आते हो फिर मेल की सूरत क्यूँकर हो

अब हुस्न का रुत्बा आली है अब हुस्न से सहरा ख़ाली है
चल बस्ती में बंजारा बन चल नगरी में सौदागर हो

जिस चीज़ से तुझ को निस्बत है जिस चीज़ की तुझ को चाहत है
वो सोना है वो हीरा है वो माटी हो या कंकर हो

अब 'इंशा'-जी को बुलाना क्या अब प्यार के दीप जलाना क्या
जब धूप और छाया एक से हों जब दिन और रात बराबर हो

वो रातें चाँद के साथ गईं वो बातें चाँद के साथ गईं
अब सुख के सपने क्या देखें जब दुख का सूरज सर पर हो

  - Ibn E Insha

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari