peet karna to ham se nibhaana sajan ham ne pehle hi din tha kaha na sajan
tum hi majboor ho ham hi mukhtar hain khair maana sajan ye bhi maana sajan
ab jo hone ke qisse sabhi ho chuke tum hamein kho chuke ham tumhein kho chuke
aage dil ki na baaton mein aana sajan ki ye dil hai sada ka deewana sajan
ye bhi sach hai na kuchh baat jee ki bani sooni raaton mein dekha kiye chaandni
par ye sauda hai ham ko puraana sajan aur jeene ka apne bahaana sajan
shehar ke log achhe hain hamdard hain par hamaari suno ham jahaan-gard hain
daag-e-dil mat kisi ko dikhaana sajan ye zamaana nahin vo zamaana sajan
us ko muddat hui sabr karte hue aaj koo-e-wafa se guzarte hue
pooch kar us gada ka thikaana sajan apne insha ko bhi dekh aana sajan
पीत करना तो हम से निभाना सजन हम ने पहले ही दिन था कहा ना सजन
तुम ही मजबूर हो हम ही मुख़्तार हैं ख़ैर माना सजन ये भी माना सजन
अब जो होने के क़िस्से सभी हो चुके तुम हमें खो चुके हम तुम्हें खो चुके
आगे दिल की न बातों में आना सजन कि ये दिल है सदा का दिवाना सजन
ये भी सच है न कुछ बात जी की बनी सूनी रातों में देखा किए चाँदनी
पर ये सौदा है हम को पुराना सजन और जीने का अपने बहाना सजन
शहर के लोग अच्छे हैं हमदर्द हैं पर हमारी सुनो हम जहाँ-गर्द हैं
दाग़-ए-दिल मत किसी को दिखाना सजन ये ज़माना नहीं वो ज़माना सजन
उस को मुद्दत हुई सब्र करते हुए आज कू-ए-वफ़ा से गुज़रते हुए
पूछ कर उस गदा का ठिकाना सजन अपने 'इंशा' को भी देख आना सजन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari