jab dehr ke gham se amaan na mili hum logon ne ishq ijaad kiya | जब दहर के ग़म से अमाँ न मिली हम लोगों ने इश्क़ ईजाद किया - Ibn E Insha

jab dehr ke gham se amaan na mili hum logon ne ishq ijaad kiya
kabhi shahr-e-butaan mein kharab phire kabhi dasht-e-junoon aabaad kiya

kabhi bastiyaan ban kabhi koh-o-daman raha kitne dinon yahi jee ka chalan
jahaan husn mila wahan baith rahe jahaan pyaar mila wahan saad kiya

shab-e-maah mein jab bhi ye dard utha kabhi bait kahe likhi chaand-nagar
kabhi koh se ja sar phod mare kabhi qais ko ja ustaad kiya

yahi ishq bil-aakhir rog bana ki hai chaah ke saath bajog bana
jise banna tha aish vo sog bana bada man ke nagar mein fasaad kiya

ab qurbat-o-sohbat-e-yaar kahaan lab o aariz o zulf o kanaar kahaan
ab apna bhi meer sa aalam hai tuk dekh liya jee shaad kiya

जब दहर के ग़म से अमाँ न मिली हम लोगों ने इश्क़ ईजाद किया
कभी शहर-ए-बुताँ में ख़राब फिरे कभी दश्त-ए-जुनूँ आबाद किया

कभी बस्तियाँ बन कभी कोह-ओ-दमन रहा कितने दिनों यही जी का चलन
जहाँ हुस्न मिला वहाँ बैठ रहे जहाँ प्यार मिला वहाँ साद किया

शब-ए-माह में जब भी ये दर्द उठा कभी बैत कहे लिखी चाँद-नगर
कभी कोह से जा सर फोड़ मरे कभी क़ैस को जा उस्ताद किया

यही इश्क़ बिल-आख़िर रोग बना कि है चाह के साथ बजोग बना
जिसे बनना था ऐश वो सोग बना बड़ा मन के नगर में फ़साद किया

अब क़ुर्बत-ओ-सोहबत-ए-यार कहाँ लब ओ आरिज़ ओ ज़ुल्फ़ ओ कनार कहाँ
अब अपना भी 'मीर' सा आलम है टुक देख लिया जी शाद किया

- Ibn E Insha
0 Likes

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari