yun kehne ko raahen mulk-e-wafaa ki ujaal gaya | यूँ कहने को राहें मुल्क-ए-वफ़ा की उजाल गया

  - Ibn E Insha

yun kehne ko raahen mulk-e-wafaa ki ujaal gaya
ik dhund mili jis raah mein paik-e-khyaal gaya
phir chaand hamein kisi raat ki god mein daal gaya

ham shehar mein thehre aisa to jee ka rog nahin
aur ban bhi hain soone un mein bhi ham se log nahin
aur kooche ko tere lautne ka to sawaal gaya

tire lutf-o-ata ki dhoom sahi mehfil mehfil
ik shakhs tha insha naam-e-mohabbat mein kaamil
ye shakhs yahan paamaal raha paamaal gaya

tiri chaah mein dekha ham ne b-haal-e-kharaab ise
par ishq o wafa ke yaad rahe aadaab ise
tira naam o maqaam jo poocha hans kar taal gaya

ik saal gaya ik saal naya hai aane ko
par waqt ki bhi ab hosh nahin deewane ko
dil haath se is ke wahshi hiran ki misaal gaya

ham ahl-e-wafa ranjoor sahi majboor nahin
aur shehr-e-wafa se dasht-e-junoon kuchh door nahin
ham khush na sahi par tere sar ka vabaal gaya

ab husn ke gadh aur shahr-panahein sooni hain
vo jo aashna the un sab ki nigaahen sooni hain
par tu jo gaya har baat ka jee se malaal gaya

यूँ कहने को राहें मुल्क-ए-वफ़ा की उजाल गया
इक धुँद मिली जिस राह में पैक-ए-ख़याल गया
फिर चाँद हमें किसी रात की गोद में डाल गया

हम शहर में ठहरें, ऐसा तो जी का रोग नहीं
और बन भी हैं सूने उन में भी हम से लोग नहीं
और कूचे को तेरे लौटने का तो सवाल गया

तिरे लुत्फ़-ओ-अता की धूम सही महफ़िल महफ़िल
इक शख़्स था इंशा नाम-ए-मोहब्बत में कामिल
ये शख़्स यहाँ पामाल रहा, पामाल गया

तिरी चाह में देखा हम ने ब-हाल-ए-ख़राब इसे
पर इश्क़ ओ वफ़ा के याद रहे आदाब इसे
तिरा नाम ओ मक़ाम जो पूछा, हँस कर टाल गया

इक साल गया, इक साल नया है आने को
पर वक़्त की भी अब होश नहीं दीवाने को
दिल हाथ से इस के वहशी हिरन की मिसाल गया

हम अहल-ए-वफ़ा रंजूर सही, मजबूर नहीं
और शहर-ए-वफ़ा से दश्त-ए-जुनूँ कुछ दूर नहीं
हम ख़ुश न सही, पर तेरे सर का वबाल गया

अब हुस्न के गढ़ और शहर-पनाहें सूनी हैं
वो जो आश्ना थे उन सब की निगाहें सूनी हैं
पर तू जो गया हर बात का जी से मलाल गया

  - Ibn E Insha

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari