phailta phailta shaam-e-gham ka dhuaan
ik udaasi ka tanta hua saaebaan
unche unche minaaron ke sar pe ravaan
dekh pahuncha hai aakhir kahaan se kahaan
jhaankta soorat-e-khel-e-aawaargaan
ghurfa ghurfa bahar kaakh-o-koo shehar mein
dafatan sail-e-zulmaat ko cheerata
jal utha door basti ka pehla diya
panchiyon ne bhi pachhim ka rasta liya
khair jaao azeezo magar dekhna
ek jugnoo bhi mish'aal si le ke chala
hai use bhi koi justuju shehar mein
aasmaan par ravaan surmai baadlo
haan tumheen kya udo aur unche udo
baagh-e-aalam ke taaza shagufta guloo
be-niyaazaana mahka karo khush raho
lekin itna bhi socha kabhi zaalimo
ham bhi hain aashiq-e-rang-o-boo shehar mein
koi dekhe ye majbooriyaan dooriyaan
ek hi shehar mein ham kahaan tum kahaan
doston ne bhi chhodi hain dil-daariyaan
aaj waqf-e-gham-e-ulfaat-e-raaegaan
ham jo firte hain vehshat-zada sargiraan
the kabhi saahib-e-aabroo shehar mein
log taano se kya kya jataate nahin
aise raahi to manzil ko paate nahin
jee se ik doosre ko bhulaate nahin
saamne bhi magar aate jaate nahin
aur jaayen to aankhen milaate nahin
haaye kya kya nahin guftugoo shehar mein
chaand nikla hai daaghoon ki mish'aal liye
door girja ke minaaron ki ot se
aa meri jaan aa ek se do bhale
aaj phere karein koocha-e-yaar ke
aur hai kaun dard-aashna baawre
ek main shehar mein ek tu shehar mein
फैलता फैलता शाम-ए-ग़म का धुआँ
इक उदासी का तनता हुआ साएबाँ
ऊँचे ऊँचे मिनारों के सर पे रवाँ
देख पहुँचा है आख़िर कहाँ से कहाँ
झाँकता सूरत-ए-ख़ैल-ए-आवारगाँ
ग़ुर्फ़ा ग़ुर्फ़ा बहर काख़-ओ-कू शहर में
दफ़अतन सैल-ए-ज़ुल्मात को चीरता
जल उठा दूर बस्ती का पहला दिया
पंछियों ने भी पच्छिम का रस्ता लिया
ख़ैर जाओ अज़ीज़ो मगर देखना
एक जुगनू भी मिशअल सी ले के चला
है उसे भी कोई जुस्तुजू शहर में?
आसमाँ पर रवाँ सुरमई बादलो
हाँ तुम्हीं क्या उड़ो और ऊँचे उड़ो
बाग़-ए-आलम के ताज़ा शगुफ़्ता गुलू
बे-नियाज़ाना महका करो ख़ुश रहो
लेकिन इतना भी सोचा, कभी ज़ालिमो!
हम भी हैं आशिक़-ए-रंग-ओ-बू शहर में
कोई देखे ये मजबूरियाँ दूरियाँ
एक ही शहर में हम कहाँ तुम कहाँ
दोस्तों ने भी छोड़ी हैं दिल-दारियाँ
आज वक़्फ़-ए-ग़म-ए-उल्फ़त-ए-राएगाँ
हम जो फिरते हैं वहशत-ज़दा सरगिराँ
थे कभी साहिब-ए-आबरू शहर में
लोग तानों से क्या क्या जताते नहीं
ऐसे राही तो मंज़िल को पाते नहीं
जी से इक दूसरे को भुलाते नहीं
सामने भी मगर आते जाते नहीं
और जाएँ तो आँखें मिलाते नहीं
हाए क्या क्या नहीं गुफ़्तुगू शहर में
चाँद निकला है दाग़ों की मिशअल लिए
दूर गिरजा के मीनारों की ओट से
आ मिरी जान आ एक से दो भले
आज फेरे करें कूचा-ए-यार के
और है कौन दर्द-आश्ना बावरे!
एक मैं शहर में, एक तू शहर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Shehar Shayari Shayari