kisi ke haath kahaan ye khazana aata hai | किसी के हाथ कहाँ ये ख़ज़ाना आता है

  - Idris Babar

kisi ke haath kahaan ye khazana aata hai
mere aziz ko har ik bahaana aata hai

zara sa mil ke dikhaao ki aise milte hain
bahut pata hai tumhein chhod jaana aata hai

sitaare dekh ke jalte hain aankhen malte hain
ik aadmi liye sham-e-fasana aata hai

abhi jazeera pe ham tum naye naye to hain dost
daro nahin mujhe sab kuchh banaana aata hai

yahan charaagh se aage charaagh jalta nahin
faqat gharaane ke peeche gharaana aata hai

ye baat chalti hai seena-b-seena chalti hai
vo saath aata hai shaana-b-shaana aata hai

gulaab cinema se pehle chaand baagh ke ba'ad
utar padunga jahaan kaarkhaana aata hai

ye kah ke us ne semester break kar daala
suna tha aap ko likhna likhaana aata hai

zamaane ho gaye dariya to kah gaya tha mujhe
bas ek mauj ko kar ke ravana aata hai

chhalk na jaaye mera ranj meri aankhon se
tumhein to apni khushi ko chhupaana aana hai

vo roz bhar ke khalaai jahaaz udaate phiren
hamein bhi raj ke tamaskhur udhaana aata hai

pachaas meel hai khushki se bahriya-town
bas ek ghante mein achha zamaana aata hai

break-dance sikhaaya hai naav ne dil ko
hawa ka geet samundar ko gaana aata hai

mujhe defence ki lingva-franka nai aati
tumhein to sadr ka qaumi taraana aata hai

mujhe to khair zameen ki zabaan nahin aati
tumhein mirrikh ka qaumi taraana aata hai

किसी के हाथ कहाँ ये ख़ज़ाना आता है
मिरे अज़ीज़ को हर इक बहाना आता है

ज़रा सा मिल के दिखाओ कि ऐसे मिलते हैं
बहुत पता है तुम्हें छोड़ जाना आता है

सितारे देख के जलते हैं आँखें मलते हैं
इक आदमी लिए शम-ए-फ़साना आता है

अभी जज़ीरे पे हम तुम नए नए तो हैं दोस्त
डरो नहीं मुझे सब कुछ बनाना आता है

यहाँ चराग़ से आगे चराग़ जलता नहीं
फ़क़त घराने के पीछे घराना आता है

ये बात चलती है सीना-ब-सीना चलती है
वो साथ आता है शाना-ब-शाना आता है

गुलाब सिनेमा से पहले चाँद बाग़ के बा'द
उतर पड़ूँगा जहाँ कारख़ाना आता है

ये कह के उस ने सेमेस्टर ब्रेक कर डाला
सुना था आप को लिखना लिखाना आता है

ज़माने हो गए दरिया तो कह गया था मुझे
बस एक मौज को कर के रवाना आता है

छलक न जाए मिरा रंज मेरी आँखों से
तुम्हें तो अपनी ख़ुशी को छुपाना आना है

वो रोज़ भर के ख़लाई जहाज़ उड़ाते फिरें
हमें भी रज के तमस्ख़ुर उड़ाना आता है

पचास मील है ख़ुश्की से बहरिया-टाउन
बस एक घंटे में अच्छा ज़माना आता है

ब्रेक-डांस सिखाया है नाव ने दिल को
हवा का गीत समुंदर को गाना आता है

मुझे डीफ़ैंस की लिंगवा-फ़्रांका नईं आती
तुम्हें तो सद्र का क़ौमी तराना आता है

मुझे तो ख़ैर ज़मीं की ज़बाँ नहीं आती
तुम्हें मिर्रीख़ का क़ौमी तराना आता है

  - Idris Babar

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari