is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakho | इस क़दर भी तो न जज़्बात पे क़ाबू रक्खो - Iftikhar Naseem

is qadar bhi to na jazbaat pe qaabu rakho
thak gaye ho to mere kaandhe pe baazu rakho

bhoolne paaye na is dasht ki vehshat dil se
shehar ke beech raho baagh mein aahu rakho

khushk ho jaayegi rote hue sehra ki tarah
kuch bacha kar bhi to is aankh mein aansu rakho

raushni hogi to aa jaayega rah-rav dil ka
us ki yaadon ke diye taq mein har-soo rakho

yaad aayegi tumhaari hi safar mein us ko
us ke roomaal mein ik achhi si khushboo rakho

ab vo mehboob nahin apna magar dost to hai
us se ye ek ta'alluq hi bahr-soo rakho

इस क़दर भी तो न जज़्बात पे क़ाबू रक्खो
थक गए हो तो मिरे काँधे पे बाज़ू रक्खो

भूलने पाए न इस दश्त की वहशत दिल से
शहर के बीच रहो बाग़ में आहू रक्खो

ख़ुश्क हो जाएगी रोते हुए सहरा की तरह
कुछ बचा कर भी तो इस आँख में आँसू रक्खो

रौशनी होगी तो आ जाएगा रह-रव दिल का
उस की यादों के दिए ताक़ में हर-सू रक्खो

याद आएगी तुम्हारी ही सफ़र में उस को
उस के रूमाल में इक अच्छी सी ख़ुश्बू रक्खो

अब वो महबूब नहीं अपना मगर दोस्त तो है
उस से ये एक तअ'ल्लुक़ ही बहर-सू रक्खो

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari