haif bais tire itaab ka main | हैफ़ बाइ'स तिरे इताब का मैं - Iftikhar Raghib

haif bais tire itaab ka main
kya karoon apne iztiraab ka main

teri aankhon ke aaine mein rahoon
aks ban jaaun tere khwaab ka main

rabt mein bhi hisaab un ka main
aur qaail hoon be-hisaab ka main

aur kab tak rahoon main misl-e-sawaal
muntazir aap ke jawaab ka main

sard-mehri ka hai lihaaf un par
aur paikar hoon iztiraab ka main

jo mohabbat ke naam hai mansoob
ik varq hoon usi kitaab ka main

mujtanib mere iltifaat se vo
takhta-e-mashq ijtinaab ka main

kya karoon aaina hai mere paas
warna dushman nahin janab ka main

kyun andhere khilaaf hain mere
kaun lagta hoon aftaab ka main

matn roodaad-e-ishq ka raaghib
ya khulasa junoon ke baab ka main

हैफ़ बाइ'स तिरे इताब का मैं
क्या करूँ अपने इज़्तिराब का मैं

तेरी आँखों के आइने में रहूँ
अक्स बन जाऊँ तेरे ख़्वाब का मैं

रब्त में भी हिसाब उन का मैं
और क़ाइल हूँ बे-हिसाब का मैं

और कब तक रहूँ मैं मिस्ल-ए-सवाल
मुंतज़िर आप के जवाब का मैं

सर्द-मेहरी का है लिहाफ़ उन पर
और पैकर हूँ इज़्तिराब का मैं

जो मोहब्बत के नाम है मंसूब
इक वरक़ हूँ उसी किताब का मैं

मुजतनिब मेरे इल्तिफ़ात से वो
तख़्ता-ए-मश्क़ इज्तिनाब का मैं

क्या करूँ आइना है मेरे पास
वर्ना दुश्मन नहीं जनाब का मैं

क्यों अँधेरे ख़िलाफ़ हैं मेरे
कौन लगता हूँ आफ़्ताब का मैं

मत्न रूदाद-ए-इश्क़ का 'राग़िब'
या ख़ुलासा जुनूँ के बाब का मैं

- Iftikhar Raghib
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari