vo kahte hain ki aankhon mein meri tasveer kis ki hai
main kehta hoon ki raushan is qadar taqdeer kis ki hai
vo kahte hain ki kis ne aap ko roka hai jaane se
main kehta hoon ki mere paanv mein zanjeer kis ki hai
vo kahte hain ki hai insaan to ik khaak ka putla
main kehta hoon ki itni azmat-o-tauqeer kis ki hai
vo kahte hain ki dil mein aap ne kis ko basaaya hai
main kehta hoon ki ye duniyaa-e-dil jaageer kis ki hai
vo kahte hain ki kis ne jaa-b-jaa likhkhá hai mera naam
main kehta hoon shikasta is qadar tahreer kis ki hai
vo kahte hain ki main ne aap sa saame nahin dekha
main kehta hoon ki itni pur-kashish taqreer kis ki hai
vo kahte hain tire sheron mein hai shokhi qayamat ki
main kehta hoon khayal o fikr mein tanveer kis ki hai
vo kahte hain ki ham hain dushmanaan-e-amn ke dushman
main kehta hoon ki un ke haath mein shamsheer kis ki hai
vo kahte hain ki raaghib tum nahin rakhte khayal apna
main kehta hoon ki har dam fikr daman-geer kis ki hai
वो कहते हैं कि आँखों में मिरी तस्वीर किस की है
मैं कहता हूँ कि रौशन इस क़दर तक़दीर किस की है
वो कहते हैं कि किस ने आप को रोका है जाने से
मैं कहता हूँ कि मेरे पाँव में ज़ंजीर किस की है
वो कहते हैं कि है इंसान तो इक ख़ाक का पुतला
मैं कहता हूँ कि इतनी अज़्मत-ओ-तौक़ीर किस की है
वो कहते हैं कि दिल में आप ने किस को बसाया है
मैं कहता हूँ कि ये दुनिया-ए-दिल जागीर किस की है
वो कहते हैं कि किस ने जा-ब-जा लिख्खा है मेरा नाम
मैं कहता हूँ शिकस्ता इस क़दर तहरीर किस की है
वो कहते हैं कि मैं ने आप सा सामे नहीं देखा
मैं कहता हूँ कि इतनी पुर-कशिश तक़रीर किस की है
वो कहते हैं तिरे शेरों में है शोख़ी क़यामत की
मैं कहता हूँ ख़याल ओ फ़िक्र में तनवीर किस की है
वो कहते हैं कि हम हैं दुश्मनान-ए-अम्न के दुश्मन
मैं कहता हूँ कि उन के हाथ में शमशीर किस की है
वो कहते हैं कि 'राग़िब' तुम नहीं रखते ख़याल अपना
मैं कहता हूँ कि हर दम फ़िक्र दामन-गीर किस की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading I Miss you Shayari Shayari