muztarib aap ke bina hai jee
ye mohabbat bhi kya bala hai jee
jee raha hoon main kitna ghut ghut kar
ye mera jee hi jaanta hai jee
mere seene mein jo dhadakta hai
mera dil hai ki aap ka hai jee
aap is ko bura samjhte hain
apna apna mushaahida hai jee
itne maasoom aap mat baniye
aap logon ko sab pata hai jee
kya bataaun ki kitni shiddat se
tum se milne ko chahta hai jee
chand yaadein hain chand sapne hain
apne hisse mein aur kya hai jee
ahl-e-furqat ki zindagi raaghib
zindagi hai ki ik saza hai jee
मुज़्तरिब आप के बिना है जी
ये मोहब्बत भी क्या बला है जी
जी रहा हूँ मैं कितना घुट घुट कर
ये मिरा जी ही जानता है जी
मेरे सीने में जो धड़कता है
मेरा दिल है कि आप का है जी
आप इस को बुरा समझते हैं
अपना अपना मुशाहिदा है जी
इतने मासूम आप मत बनिए
आप लोगों को सब पता है जी
क्या बताऊँ कि कितनी शिद्दत से
तुम से मिलने को चाहता है जी
चंद यादें हैं चंद सपने हैं
अपने हिस्से में और क्या है जी
अहल-ए-फ़ुर्क़त की ज़िंदगी 'राग़िब'
ज़िंदगी है कि इक सज़ा है जी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Mohabbat Shayari Shayari