khird-gazeeda junoon ka shikaar ya'ni main
mila tha gham ko bhi ik gham-gusaar ya'ni main
mohabbatein na lutaata to aur kya karta
wufoor-e-shauq ka aaina-daar ya'ni main
azeem chaak pe thi inkisaar ki mitti
bana tha kuzaa koi shaahkaar ya'ni main
chamak raha tha muaafiq tiri tavajjoh ke
khuloos-o-mehr-o-wafa ka dayaar ya'ni main
mere khuda nahin thamta ye zulm ka toofaan
aur us ke saamne musht-e-ghubaar ya'ni main
hui thi jab bhi tire iltifaat ki baarish
lahak utha tha tarah laala-zaar ya'ni main
zahe-naseeb hawadis mein bhi nahin toota
tira ghuroor tira iftikhaar ya'ni main
hai mustaqil mere seene mein dard ya'ni tu
na rah saka tire dil mein qaraar ya'ni main
har ek baat meri kar raha tha rad raaghib
mere sukhun pe tha koi sawaar ya'ni main
ख़िरद-गज़ीदा जुनूँ का शिकार या'नी मैं
मिला था ग़म को भी इक ग़म-गुसार या'नी मैं
मोहब्बतें न लुटाता तो और क्या करता
वुफ़ूर-ए-शौक़ का आईना-दार या'नी मैं
अज़ीम चाक पे थी इंकिसार की मिट्टी
बना था कूज़ा कोई शाहकार या'नी मैं
चमक रहा था मुआफ़िक़ तिरी तवज्जोह के
ख़ुलूस-ओ-मेहर-ओ-वफ़ा का दयार या'नी मैं
मिरे ख़ुदा नहीं थमता ये ज़ुल्म का तूफ़ान
और उस के सामने मुश्त-ए-ग़ुबार या'नी मैं
हुई थी जब भी तिरे इल्तिफ़ात की बारिश
लहक उठा था तरह लाला-ज़ार या'नी मैं
ज़हे-नसीब हवादिस में भी नहीं टूटा
तिरा ग़ुरूर तिरा इफ़्तिख़ार या'नी मैं
है मुस्तक़िल मिरे सीने में दर्द या'नी तू
न रह सका तिरे दिल में क़रार या'नी मैं
हर एक बात मिरी कर रहा था रद 'राग़िब'
मिरे सुख़न पे था कोई सवार या'नी मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Bijli Shayari Shayari