ho charaagh-e-ilm raushan theek se
log waqif hon nayi takneek se
ilm se raushan to hai un ka dimaagh
dil ke goshe hain magar tareek se
raay us par mat karo qaaim koi
jaante jis ko nahin nazdeek se
martaba kis ka hai kaisa kya pata
baaz aana chahiye tazheek se
haath failaana muqaddar ban na jaaye
pet bharna chhod deeje bheek se
jud gaya sheesha bharose ka magar
rah gaye hain baal kuchh baarik se
jis ka maqsad adl o amn o aatishi
dil hai waabasta usi tahreek se
be-sabab raaghib tadap uthata hai dil
dil ko samjhaana padega theek se
हो चराग़-ए-इल्म रौशन ठीक से
लोग वाक़िफ़ हों नई तकनीक से
इल्म से रौशन तो है उन का दिमाग़
दिल के गोशे हैं मगर तारीक से
राय उस पर मत करो क़ाएम कोई
जानते जिस को नहीं नज़दीक से
मर्तबा किस का है कैसा क्या पता
बाज़ आना चाहिए तज़हीक से
हाथ फैलाना मुक़द्दर बन न जाए
पेट भरना छोड़ दीजे भीक से
जुड़ गया शीशा भरोसे का मगर
रह गए हैं बाल कुछ बारीक से
जिस का मक़्सद अदल ओ अम्न ओ आतिशी
दिल है वाबस्ता उसी तहरीक से
बे-सबब 'राग़िब' तड़प उठता है दिल
दिल को समझाना पड़ेगा ठीक से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Peace Shayari Shayari