sada aansu bahaane se kisi ko kuchh nahin milta
ki rone gidgidane se kisi ko kuchh nahin milta
kisi ka kuchh nahin jaata kisi se hans ke milne se
ajee yun munh banaane se kisi ko kuchh nahin milta
agar ghairat hai zinda to wasaail kijie paida
hamesha dum hilaane se kisi ko kuchh nahin milta
na ho tadbeer to taqdeer bhi haami nahin hoti
khuda ke kaar-khaane se kisi ko kuchh nahin milta
darakhton par inhen raaghib hamesha chahchahaane do
parindon ko udaane se kisi ko kuchh nahin milta
सदा आँसू बहाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
कि रोने गिड़गिड़ाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
किसी का कुछ नहीं जाता किसी से हँस के मिलने से
अजी यूँ मुँह बनाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
अगर ग़ैरत है ज़िंदा तो वसाइल कीजिए पैदा
हमेशा दुम हिलाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
न हो तदबीर तो तक़दीर भी हामी नहीं होती
ख़ुदा के कार-ख़ाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
दरख़्तों पर इन्हें 'राग़िब' हमेशा चहचहाने दो
परिंदों को उड़ाने से किसी को कुछ नहीं मिलता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Aabroo Shayari Shayari