chhodaa na mujhe dil ne meri jaan kahi ka
dil hai ki nahin maanta naadaan kahi ka
jaayen to kahaan jaayen isee soch mein gum hain
khwaahish hai kahi ki to hai armaan kahi ka
ham hijr ke maaron ko kahi chain kahaan hai
mausam nahin jachta hamein ik aan kahi ka
is shokhi-e-guftaar par aata hai bahut pyaar
jab pyaar se kahte hain vo shaitaan kahi ka
ye vasl ki rut hai ki judaai ka hai mausam
ye gulshan-e-dil hai ki bayaabaan kahi ka
kar de na ise ghark koi naddi kahi ki
khud ko jo samajh baitha hai bhagwaan kahi ka
ik harf bhi tahreef-zada ho to dikhaaye
le aaye utha kar koi quraan kahi ka
mehboob nagar ho ki ghazal gaano ho raaghib
dastoor-e-mohabbat nahin aasaan kahi ka
छोड़ा न मुझे दिल ने मिरी जान कहीं का
दिल है कि नहीं मानता नादान कहीं का
जाएँ तो कहाँ जाएँ इसी सोच में गुम हैं
ख़्वाहिश है कहीं की तो है अरमान कहीं का
हम हिज्र के मारों को कहीं चैन कहाँ है
मौसम नहीं जचता हमें इक आन कहीं का
इस शोख़ी-ए-गुफ़्तार पर आता है बहुत प्यार
जब प्यार से कहते हैं वो शैतान कहीं का
ये वस्ल की रुत है कि जुदाई का है मौसम
ये गुलशन-ए-दिल है कि बयाबान कहीं का
कर दे न इसे ग़र्क़ कोई नद्दी कहीं की
ख़ुद को जो समझ बैठा है भगवान कहीं का
इक हर्फ़ भी तहरीफ़-ज़दा हो तो दिखाए
ले आए उठा कर कोई क़ुरआन कहीं का
महबूब नगर हो कि ग़ज़ल गानो हो 'राग़िब'
दस्तूर-ए-मोहब्बत नहीं आसान कहीं का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Romance Shayari Shayari