inkaar hi kar deejie iqaar nahin to
uljhan hi mein mar jaayega beemaar nahin to
lagta hai ki pinjare mein hoon duniya mein nahin hoon
do roz se dekha koi akhbaar nahin to
duniya hamein naabood hi kar daalegi ik din
ham honge agar ab bhi khabar-daar nahin to
kuchh to rahe aslaaf ki tahzeeb ki khushboo
topi hi laga leejie dastaar nahin to
ham barsar-e-paikaar sitamgar se hamesha
rakhte hain qalam haath mein talwaar nahin to
bhaai ko hai bhaai pe bharosa to bhala hai
aangan mein bhi uth jaayegi deewaar nahin to
be-sood har ik qaul har ik sher hai raaghib
gar us ke muaafiq tira kirdaar nahin to
इंकार ही कर दीजिए इक़रार नहीं तो
उलझन ही में मर जाएगा बीमार नहीं तो
लगता है कि पिंजरे में हूँ दुनिया में नहीं हूँ
दो रोज़ से देखा कोई अख़बार नहीं तो
दुनिया हमें नाबूद ही कर डालेगी इक दिन
हम होंगे अगर अब भी ख़बर-दार नहीं तो
कुछ तो रहे अस्लाफ़ की तहज़ीब की ख़ुश्बू
टोपी ही लगा लीजिए दस्तार नहीं तो
हम बरसर-ए-पैकार सितमगर से हमेशा
रखते हैं क़लम हाथ में तलवार नहीं तो
भाई को है भाई पे भरोसा तो भला है
आँगन में भी उठ जाएगी दीवार नहीं तो
बे-सूद हर इक क़ौल हर इक शेर है 'राग़िब'
गर उस के मुआफ़िक़ तिरा किरदार नहीं तो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Eitbaar Shayari Shayari