aag ke saath hi paani bhi bahm rakhna tha | आग के साथ ही पानी भी बहम रखना था

  - Iftikhar Raghib

aag ke saath hi paani bhi bahm rakhna tha
dil mein tha ishq to aankhon ko bhi nam rakhna tha

mujh ko maaloom tha badli hui rut ka anjaam
phir bhi be-taab umangon ka bharam rakhna tha

ab kahaan dil ki talab aql se ho kuchh imdaad
ik zara soch ke pehla hi qadam rakhna tha

un se ummeed na rakhta main wafa ki kaise
dasht-e-ulfat mein mohabbat ka ilm rakhna tha

shiddat-e-ishq mein karna tha izafa raaghib
aur be-taabi-e-jazbaat ko kam rakhna tha

आग के साथ ही पानी भी बहम रखना था
दिल में था इश्क़ तो आँखों को भी नम रखना था

मुझ को मालूम था बदली हुई रुत का अंजाम
फिर भी बे-ताब उमंगों का भरम रखना था

अब कहाँ दिल की तलब अक़्ल से हो कुछ इमदाद
इक ज़रा सोच के पहला ही क़दम रखना था

उन से उम्मीद न रखता मैं वफ़ा की कैसे
दस्त-ए-उल्फ़त में मोहब्बत का इल्म रखना था

शिद्दत-ए-इश्क़ में करना था इज़ाफ़ा 'राग़िब'
और बे-ताबी-ए-जज़बात को कम रखना था

  - Iftikhar Raghib

Ilm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Ilm Shayari Shayari