chashm-e-tar ko zabaan kar baithe
haal dil ka bayaan kar baithe
tum ne rasman mujhe salaam kiya
log kya kya gumaan kar baithe
ek pal bhi kahaan sukoon mila
aap ko jab se jaan kar baithe
pastiyon mein kabhi gira daala
aur kabhi aasmaan kar baithe
aas ki sham'a timtimaati rahi
ham kahaan haar maan kar baithe
ek pal ka yaqeen nahin raaghib
ik sadi ka plan kar baithe
चश्म-ए-तर को ज़बान कर बैठे
हाल दिल का बयान कर बैठे
तुम ने रस्मन मुझे सलाम किया
लोग क्या क्या गुमान कर बैठे
एक पल भी कहाँ सुकून मिला
आप को जब से जान कर बैठे
पस्तियों में कभी गिरा डाला
और कभी आसमान कर बैठे
आस की शम्अ टिमटिमाती रही
हम कहाँ हार मान कर बैठे
एक पल का यक़ीं नहीं 'राग़िब'
इक सदी का प्लान कर बैठे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Mehboob Shayari Shayari