museebat mein zameen bhi kam nahin hai | मुसीबत में ज़मीं भी कम नहीं है

  - Iftikhar Raghib

museebat mein zameen bhi kam nahin hai
so bechaini kahi bhi kam nahin hai

tumhaare dil mein kya hai kuchh to bolo
tumhaara kuchh nahin bhi kam nahin hai

nahin jhukta kisi ke khauf se dil
ye nanhi si jabeen bhi kam nahin hai

mashaam-e-jaan mo'attar aur dil bhi
tiri khushboo kahi bhi kam nahin hai

agarche be-yaqeeni bhi hai thodi
use mujh par yaqeen bhi kam nahin hai

tumhein hai khauf atom bam ka itna
ye aah-e-aatishi'n bhi kam nahin hai

chalo kah do ki hai mujh se mohabbat
nahin hai tu nahin bhi kam nahin hai

sitam sah kar bhi dil rehta hai raaghib
ki vo zalim haseen bhi kam nahin hai

मुसीबत में ज़मीं भी कम नहीं है
सो बेचैनी कहीं भी कम नहीं है

तुम्हारे दिल में क्या है कुछ तो बोलो
तुम्हारा कुछ नहीं'' भी कम नहीं है

नहीं झुकता किसी के ख़ौफ़ से दिल
ये नन्ही सी जबीं भी कम नहीं है

मशाम-ए-जाँ मोअ'त्तर और दिल भी
तिरी ख़ुशबू कहीं भी कम नहीं है

अगरचे बे-यक़ीनी भी है थोड़ी
उसे मुझ पर यक़ीं भी कम नहीं है

तुम्हें है ख़ौफ़ एटम बम का इतना
ये आह-ए-आतिशीं भी कम नहीं है

चलो कह दो कि है मुझ से मोहब्बत
नहीं है तू नहीं भी कम नहीं है

सितम सह कर भी दिल रहता है 'राग़िब'
कि वो ज़ालिम हसीं भी कम नहीं है

  - Iftikhar Raghib

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari