din mein aane lage hain khwaab mujhe
us ne bheja hai ik gulaab mujhe
guftugoo sun raha hoon aankhon ki
chahiye aap ka jawaab mujhe
waqt-e-fursat ka intizaar karoon
itni furqat kahaan janab mujhe
zoom tha be-hisaab chaahat hai
us ne samjha diya hisaab mujhe
padhta rehta hoon aap ka chehra
achhi lagti hai ye kitaab mujhe
leejie aur imtihaan mera
aur hona hai kaamyaab mujhe
koi aisi khata karoon raaghib
jis ka milta rahe savaab mujhe
दिन में आने लगे हैं ख़्वाब मुझे
उस ने भेजा है इक गुलाब मुझे
गुफ़्तुगू सुन रहा हूँ आँखों की
चाहिए आप का जवाब मुझे
वक़्त-ए-फ़ुर्सत का इंतिज़ार करूँ
इतनी फ़ुर्सत कहाँ जनाब मुझे
ज़ोम था बे-हिसाब चाहत है
उस ने समझा दिया हिसाब मुझे
पढ़ता रहता हूँ आप का चेहरा
अच्छी लगती है ये किताब मुझे
लीजिए और इम्तिहान मिरा
और होना है कामयाब मुझे
कोई ऐसी ख़ता करूँ 'राग़िब'
जिस का मिलता रहे सवाब मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Fantasy Shayari Shayari