achhe dinon ki aas laga kar main ne khud ko roka hai
kaise kaise khwaab dikha kar main ne khud ko roka hai
main ne khud ko roka hai jazbaat ki rau mein bahne se
dil mein sau armaan daba kar main ne khud ko roka hai
furqat ke mausam mein kaise zinda hoon tum kya jaano
kaise is dil ko samjha kar main ne khud ko roka hai
chhod ke sab kuchh tum se milne aa jaana dushwaar nahin
mustaqbil ka khauf dila kar main ne khud ko roka hai
kate kahaan hain hijr ke lamhe phir bhi ek zamaane se
teri yaadon se bahla kar main ne khud ko roka hai
waapas jaane ke sab raaste main ne khud masdood kiye
kashti aur patwaar jala kar main ne khud ko roka hai
jab bhi main ne chaaha raaghib dushman par yalghaar karoon
khud ko apne saamne pa kar main ne khud ko roka hai
अच्छे दिनों की आस लगा कर मैं ने ख़ुद को रोका है
कैसे कैसे ख़्वाब दिखा कर मैं ने ख़ुद को रोका है
मैं ने ख़ुद को रोका है जज़्बात की रौ में बहने से
दिल में सौ अरमान दबा कर मैं ने ख़ुद को रोका है
फ़ुर्क़त के मौसम में कैसे ज़िंदा हूँ तुम क्या जानो
कैसे इस दिल को समझा कर मैं ने ख़ुद को रोका है
छोड़ के सब कुछ तुम से मिलने आ जाना दुश्वार नहीं
मुस्तक़बिल का ख़ौफ़ दिला कर मैं ने ख़ुद को रोका है
कटते कहाँ हैं हिज्र के लम्हे फिर भी एक ज़माने से
तेरी यादों से बहला कर मैं ने ख़ुद को रोका है
वापस जाने के सब रस्ते मैं ने ख़ुद मसदूद किए
कश्ती और पतवार जला कर मैं ने ख़ुद को रोका है
जब भी मैं ने चाहा 'राग़िब' दुश्मन पर यलग़ार करूँ
ख़ुद को अपने सामने पा कर मैं ने ख़ुद को रोका है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Intiqam Shayari Shayari