ai ibn-e-iztiraab dil-e-na-suboor sabr | ऐ इब्न-ए-इज़्तिराब दिल-ए-ना-सुबूर सब्र

  - Iftikhar Raghib

ai ibn-e-iztiraab dil-e-na-suboor sabr
takleef mein hai bais-e-kaif-o-suroor sabr

chhat kar rahegi teergi ik din gurez ki
footega iltifaat-o-mohabbat ka noor sabr

aankhon mein tairte hain abhi tak kai huroof
likkha tha us ne ashk se bainssootoor sabr

main kya karoon ki tum ko na ho barhmi kabhi
kis tarah dil ko aaye tumhaare huzoor sabr

tum se tha door door to saabir tha sakht tha
sheeshe ki tarah pal mein hua choor choor sabr

dono hi e'tidaal pe raaghib na rah sake
tha mera iztiraab to un ka qusoor sabr

ऐ इब्न-ए-इज़्तिराब दिल-ए-ना-सुबूर सब्र
तकलीफ़ में है बाइ'स-ए-कैफ़-ओ-सुरूर सब्र

छट कर रहेगी तीरगी इक दिन गुरेज़ की
फूटेगा इल्तिफ़ात-ओ-मोहब्बत का नूर सब्र

आँखों में तैरते हैं अभी तक कई हुरूफ़
लिक्खा था उस ने अश्क से बैनस्सुतूर सब्र

मैं क्या करूँ कि तुम को न हो बरहमी कभी
किस तरह दिल को आए तुम्हारे हुज़ूर सब्र

तुम से था दूर दूर तो साबिर था सख़्त था
शीशे की तरह पल में हुआ चूर चूर सब्र

दोनों ही ए'तिदाल पे 'राग़िब' न रह सके
था मेरा इज़्तिराब तो उन का क़ुसूर सब्र

  - Iftikhar Raghib

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari