zehn-o-dil mein hai jang ya kuchh aur | ज़ेहन-ओ-दिल में है जंग या कुछ और

  - Iftikhar Raghib

zehn-o-dil mein hai jang ya kuchh aur
ho raha hoon malang ya kuchh aur

haal kya ho gaya sama'at ka
teri baatein theen sang ya kuchh aur

koi utara hai jheel mein dil ki
uth rahi hai tarang ya kuchh aur

tere haathon mein dor hai ya dil
ho gaya hoon patang ya kuchh aur

koshishein raayegaan manaane ki
mujh ko hi tha na dhang ya kuchh aur

mushkilein roz badhti jaati hain
vo sitamgar hai tang ya kuchh aur

dil mein hai aas aarzoo vehshat
be-qaraari umang ya kuchh aur

hausale mere misl koh hue
teri chaahat hai sang ya kuchh aur

mere sher'on pe ho gaye saakit
yaar mere hain dang ya kuchh aur

un ke haathon mein aaj-kal raaghib
hai rifaqat ka rang ya kuchh aur

ज़ेहन-ओ-दिल में है जंग या कुछ और
हो रहा हूँ मलंग या कुछ और

हाल क्या हो गया समाअ'त का
तेरी बातें थीं संग या कुछ और

कोई उतरा है झील में दिल की
उठ रही है तरंग या कुछ और

तेरे हाथों में डोर है या दिल
हो गया हूँ पतंग या कुछ और

कोशिशें राएगाँ मनाने की
मुझ को ही था न ढंग या कुछ और

मुश्किलें रोज़ बढ़ती जाती हैं
वो सितमगर है तंग या कुछ और

दिल में है आस आरज़ू वहशत
बे-क़रारी उमंग या कुछ और

हौसले मेरे मिस्ल कोह हुए
तेरी चाहत है संग या कुछ और

मेरे शे'रों पे हो गए साकित
यार मेरे हैं दंग या कुछ और

उन के हाथों में आज-कल 'राग़िब'
है रिफ़ाक़त का रंग या कुछ और

  - Iftikhar Raghib

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari