kya hai qismat mein qalb-e-maail ki
had nahin ranj ke wasaail ki
dast-bardaar hai masihaai
dekh haalat ab apne ghaail ki
vo ki har masale ka mere hal
main ki jad us ke sab masaail ki
kitna faila hai zahar vehshat ka
kitni taaseer ham ne zaail ki
kaasa-e-ishq mein wafa ki bheek
aur kya aarzoo thi sail ki
un ki zid ka tha saamna raaghib
dhajjiyaan ud gaeein dalaail ki
क्या है क़िस्मत में क़ल्ब-ए-माइल की
हद नहीं रंज के वसाइल की
दस्त-बरदार है मसीहाई
देख हालत अब अपने घाइल की
वो कि हर मसअले का मेरे हल
मैं कि जड़ उस के सब मसाइल की
कितना फैला है ज़हर वहशत का
कितनी तासीर हम ने ज़ाइल की
कासा-ए-इश्क़ में वफ़ा की भीक
और क्या आरज़ू थी साइल की
उन की ज़िद का था सामना 'राग़िब'
धज्जियाँ उड़ गईं दलाइल की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Fantasy Shayari Shayari