phir uthaya jaaunga mitti mein mil jaane ke baad | फिर उठाया जाऊँगा मिट्टी में मिल जाने के बाद

  - Iftikhar Raghib

phir uthaya jaaunga mitti mein mil jaane ke baad
garche hoon sehama hua buniyaad hil jaane ke baad

aap ab ham se hamaari khairiyat mat poochiye
aadmi khud ka kahaan rehta hai dil jaane ke baad

sakht-jaani ki badaulat ab bhi ham hain taaza-dam
khushk ho jaate hain warna ped hil jaane ke baad

khauf aata hai bulandi ki taraf chadhte hue
gul ka murjhaana hi rah jaata hai khil jaane ke baad

fikr laahaq hai hamesha misl-e-tukhm-e-na-tawan
hashr kya hoga daroon-e-aab-o-gil jaane ke baad

is tarah hairaan hain sab dekh kar raaghib mujhe
jaise koi aa gaya ho mustaqil jaane ke baad

फिर उठाया जाऊँगा मिट्टी में मिल जाने के बाद
गरचे हूँ सहमा हुआ बुनियाद हिल जाने के बाद

आप अब हम से हमारी ख़ैरियत मत पूछिए
आदमी ख़ुद का कहाँ रहता है दिल जाने के बाद

सख़्त-जानी की बदौलत अब भी हम हैं ताज़ा-दम
ख़ुश्क हो जाते हैं वर्ना पेड़ हिल जाने के बाद

ख़ौफ़ आता है बुलंदी की तरफ़ चढ़ते हुए
गुल का मुरझाना ही रह जाता है खिल जाने के बाद

फ़िक्र लाहक़ है हमेशा मिस्ल-ए-तुख़्म-ए-ना-तवाँ
हश्र क्या होगा दरून-ए-आब-ओ-गिल जाने के बाद

इस तरह हैरान हैं सब देख कर 'राग़िब' मुझे
जैसे कोई आ गया हो मुस्तक़िल जाने के बाद

  - Iftikhar Raghib

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari