jo doosron ki khataayein mua'af karte hain | जो दूसरों की ख़ताएँ मुआ'फ़ करते हैं

  - Iftikhar Raghib

jo doosron ki khataayein mua'af karte hain
dar-asl dil se kudoorat vo saaf karte hain

har ek baat mein haami nahin bhari jaati
unhen gila hai ki ham ikhtilaaf karte hain

kabhi gumaan ki soorat kabhi yaqeen ke saath
dilon ke raaz ka ham inkishaaf karte hain

hamein yaqeen bhi dilaate hain saath dene ka
vo saazishein bhi hamaare khilaaf karte hain

kahi bhi pyaar se rahna unhen qubool nahin
jahaan bhi jaate hain dil mein shigaaf karte hain

unhin se azmat-e-urdu bahaal hai raaghib
jo guftugoo mein ada sheen qaaf karte hain

जो दूसरों की ख़ताएँ मुआ'फ़ करते हैं
दर-अस्ल दिल से कुदूरत वो साफ़ करते हैं

हर एक बात में हामी नहीं भरी जाती
उन्हें गिला है कि हम इख़्तिलाफ़ करते हैं

कभी गुमान की सूरत कभी यक़ीन के साथ
दिलों के राज़ का हम इंकिशाफ़ करते हैं

हमें यक़ीं भी दिलाते हैं साथ देने का
वो साज़िशें भी हमारे ख़िलाफ़ करते हैं

कहीं भी प्यार से रहना उन्हें क़ुबूल नहीं
जहाँ भी जाते हैं दिल में शिगाफ़ करते हैं

उन्हीं से अज़्मत-ए-उर्दू बहाल है 'राग़िब'
जो गुफ़्तुगू में अदा शीन क़ाफ़ करते हैं

  - Iftikhar Raghib

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Raghib

As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Raghib

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari