tark-e-taalluqaat nahin chahta tha main
gham se tire najaat nahin chahta tha main
kab chahta tha teri inaayat ki baarishen
shaadaabi-e-hayaat nahin chahta tha mein
mujh se tu ai behisht-e-nazar yun nazar na fer
kya tujh ko ta-hayaat nahin chahta tha main
main chahta tha tum se na jeetoon kabhi magar
kha jaaun khud se maat nahin chahta tha main
guzri hai dil pe kaisi qayamat main kya kahoon
nafrat ki kaayenaat nahin chahta tha main
kya haal ab hai tere ta'aqub mein ai hayaat
tu yun hi aaye haath nahin chahta tha main
main chahta tha raah mein kuchh mushkilein magar
har har qadam pe ghaat nahin chahta tha main
raaghib vo meri fikr mein khud ko bhi bhool jaayen
aisi to koi baat nahin chahta tha main
तर्क-ए-तअल्लुक़ात नहीं चाहता था मैं
ग़म से तिरे नजात नहीं चाहता था मैं
कब चाहता था तेरी इनायत की बारिशें
शादाबी-ए-हयात नहीं चाहता था में
मुझ से तू ऐ बहिश्त-ए-नज़र यूँ नज़र न फेर
क्या तुझ को ता-हयात नहीं चाहता था मैं
मैं चाहता था तुम से न जीतूँ कभी मगर
खा जाऊँ ख़ुद से मात नहीं चाहता था मैं
गुज़री है दिल पे कैसी क़यामत मैं क्या कहूँ
नफ़रत की काएनात नहीं चाहता था मैं
क्या हाल अब है तेरे तआक़ुब में ऐ हयात
तू यूँ ही आए हात नहीं चाहता था मैं
मैं चाहता था राह में कुछ मुश्किलें मगर
हर हर क़दम पे घात नहीं चाहता था मैं
'राग़िब' वो मेरी फ़िक्र में ख़ुद को भी भूल जाएँ
ऐसी तो कोई बात नहीं चाहता था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Raghib
our suggestion based on Iftikhar Raghib
As you were reading Nafrat Shayari Shayari