tasavvuraat mein vo zoom kar raha tha mujhe | तसव्वुरात में वो ज़ूम कर रहा था मुझे - Inaam Azmi

tasavvuraat mein vo zoom kar raha tha mujhe
bahut shadeed tavajjoh ka saamna tha mujhe

chamak raha tha main suraj ke misl is liye dost
kahi pe ja ke andhere mein doobna tha mujhe

mujhe wahan se udaasi bula rahi thi aaj
jahaan se shaam-o-sehar koi dekhta tha mujhe

phir us ko ja ke bataana pada galat hai ye
samajhne waale ne kya kya samajh rakha tha mujhe

guzar na paaya tha jo jaun-eliya se bhi
tumhaare ba'ad vo lamha guzaarna tha mujhe

lahooluhaan hue ja rahe the har manzar
kisi ne waqt ke maathe pe yun likha tha mujhe

main apni neend agar tootne nahin deta
us ek khwaab se har waqt tootna tha mujhe

तसव्वुरात में वो ज़ूम कर रहा था मुझे
बहुत शदीद तवज्जोह का सामना था मुझे

चमक रहा था मैं सूरज के मिस्ल इस लिए दोस्त
कहीं पे जा के अँधेरे में डूबना था मुझे

मुझे वहाँ से उदासी बुला रही थी आज
जहाँ से शाम-ओ-सहर कोई देखता था मुझे

फिर उस को जा के बताना पड़ा ग़लत है ये
समझने वाले ने क्या क्या समझ रखा था मुझे

गुज़र न पाया था जो 'जौन-एलिया' से भी
तुम्हारे बा'द वो लम्हा गुज़ारना था मुझे

लहूलुहान हुए जा रहे थे हर मंज़र
किसी ने वक़्त के माथे पे यूँ लिखा था मुझे

मैं अपनी नींद अगर टूटने नहीं देता
उस एक ख़्वाब से हर वक़्त टूटना था मुझे

- Inaam Azmi
1 Like

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Inaam Azmi

As you were reading Shayari by Inaam Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Inaam Azmi

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari