muddat hui us jaan-e-haya ne ham se ye iqaar kiya | मुद्दत हुई उस जान-ए-हया ने हम से ये इक़रार किया

  - Jaan Nisar Akhtar

muddat hui us jaan-e-haya ne ham se ye iqaar kiya
jitne bhi badnaam hue ham utna us ne pyaar kiya

pehle bhi khush-chashmon mein ham chaukanna se rahte the
teri soi aankhon ne to aur hamein hoshiyaar kiya

jaate jaate koi ham se achhe rahna kah to gaya
pooche lekin poochne waale kis ne ye beemaar kiya

qatra qatra sirf hua hai ishq mein apne dil ka lahu
shakl dikhaai tab us ne jab aankhon ko khoon-baar kiya

ham par kitni baar pade ye daure bhi tanhaai ke
jo bhi ham se milne aaya milne se inkaar kiya

ishq mein kya nuksaan nafa hai ham ko kya samjhaate ho
ham ne saari umr hi yaaro dil ka kaarobaar kiya

mehfil par jab neend si chhaai sab ke sab khaamosh hue
ham ne tab kuchh sher sunaaya logon ko bedaar kiya

ab tum socho ab tum jaano jo chaaho ab rang bharo
ham ne to ik naqsha kheecha ik khaaka taiyyaar kiya

desh se jab pradesh sidhaare ham par ye bhi waqt pada
nazmein chhodi ghazlein chhodi geeton ka bevepaar kiya

मुद्दत हुई उस जान-ए-हया ने हम से ये इक़रार किया
जितने भी बदनाम हुए हम उतना उस ने प्यार किया

पहले भी ख़ुश-चश्मों में हम चौकन्ना से रहते थे
तेरी सोई आँखों ने तो और हमें होशियार किया

जाते जाते कोई हम से अच्छे रहना कह तो गया
पूछे लेकिन पूछने वाले किस ने ये बीमार किया

क़तरा क़तरा सिर्फ़ हुआ है इश्क़ में अपने दिल का लहू
शक्ल दिखाई तब उस ने जब आँखों को ख़ूँ-बार किया

हम पर कितनी बार पड़े ये दौरे भी तन्हाई के
जो भी हम से मिलने आया मिलने से इंकार किया

इश्क़ में क्या नुक़सान नफ़ा है हम को क्या समझाते हो
हम ने सारी उम्र ही यारो दिल का कारोबार किया

महफ़िल पर जब नींद सी छाई सब के सब ख़ामोश हुए
हम ने तब कुछ शेर सुनाया लोगों को बेदार किया

अब तुम सोचो अब तुम जानो जो चाहो अब रंग भरो
हम ने तो इक नक़्शा खींचा इक ख़ाका तय्यार किया

देश से जब प्रदेश सिधारे हम पर ये भी वक़्त पड़ा
नज़्में छोड़ी ग़ज़लें छोड़ी गीतों का बेवपार किया

  - Jaan Nisar Akhtar

Ishq Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Ishq Shayari Shayari