deeda o dil mein koi husn bikharta hi raha
laakh pardo mein chhupa koi sanwarta hi raha
raushni kam na hui waqt ke toofaanon mein
dil ke dariya mein koi chaand utarta hi raha
raaste bhar koi aahat thi ki aati hi rahi
koi saaya mere baazu se guzarta hi raha
mit gaya par tiri baanhon ne sameta na mujhe
shehar dar shehar main galiyon mein bikharta hi raha
lamha lamha rahe aankhon mein andhere lekin
koi suraj mere seene mein ubharta hi raha
दीदा ओ दिल में कोई हुस्न बिखरता ही रहा
लाख पर्दों में छुपा कोई सँवरता ही रहा
रौशनी कम न हुई वक़्त के तूफ़ानों में
दिल के दरिया में कोई चाँद उतरता ही रहा
रास्ते भर कोई आहट थी कि आती ही रही
कोई साया मिरे बाज़ू से गुज़रता ही रहा
मिट गया पर तिरी बाँहों ने समेटा न मुझे
शहर दर शहर मैं गलियों में बिखरता ही रहा
लम्हा लम्हा रहे आँखों में अंधेरे लेकिन
कोई सूरज मिरे सीने में उभरता ही रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Chehra Shayari Shayari