har ek rooh mein ik gham chhupa lage hai mujhe
ye zindagi to koi bad-dua lage hai mujhe
pasand-e-khaatir-e-ahl-e-wafa hai muddat se
ye dil ka daagh jo khud bhi bhala lage hai mujhe
jo aansuon mein kabhi raat bheeg jaati hai
bahut qareeb vo aawaaz-e-paa lage hai mujhe
main so bhi jaaun to kya meri band aankhon mein
tamaam raat koi jhaankta lage hai mujhe
main jab bhi us ke khayaalon mein kho sa jaata hoon
vo khud bhi baat kare to bura lage hai mujhe
main sochta tha ki lautunga ajnabi ki tarah
ye mera gaav to pahchaanta lage hai mujhe
na jaane waqt ki raftaar kya dikhaati hai
kabhi kabhi to bada khauf sa lage hai mujhe
bikhar gaya hai kuchh is tarah aadmi ka vujood
har ek fard koi saanehaa lage hai mujhe
ab ek aadh qadam ka hisaab kya rakhiye
abhi talak to wahi fasla lage hai mujhe
hikaayat-e-gham-e-dil kuchh kashish to rakhti hai
zamaana ghaur se sunta hua lage hai mujhe
हर एक रूह में इक ग़म छुपा लगे है मुझे
ये ज़िंदगी तो कोई बद-दुआ लगे है मुझे
पसंद-ए-ख़ातिर-ए-अहल-ए-वफ़ा है मुद्दत से
ये दिल का दाग़ जो ख़ुद भी भला लगे है मुझे
जो आँसुओं में कभी रात भीग जाती है
बहुत क़रीब वो आवाज़-ए-पा लगे है मुझे
मैं सो भी जाऊँ तो क्या मेरी बंद आँखों में
तमाम रात कोई झाँकता लगे है मुझे
मैं जब भी उस के ख़यालों में खो सा जाता हूँ
वो ख़ुद भी बात करे तो बुरा लगे है मुझे
मैं सोचता था कि लौटूँगा अजनबी की तरह
ये मेरा गाँव तो पहचानता लगे है मुझे
न जाने वक़्त की रफ़्तार क्या दिखाती है
कभी कभी तो बड़ा ख़ौफ़ सा लगे है मुझे
बिखर गया है कुछ इस तरह आदमी का वजूद
हर एक फ़र्द कोई सानेहा लगे है मुझे
अब एक आध क़दम का हिसाब क्या रखिए
अभी तलक तो वही फ़ासला लगे है मुझे
हिकायत-ए-ग़म-ए-दिल कुछ कशिश तो रखती है
ज़माना ग़ौर से सुनता हुआ लगे है मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Life Shayari Shayari