bahut dil kar ke honton ki shagufta taazgi di hai | बहुत दिल कर के होंटों की शगुफ़्ता ताज़गी दी है - Jaan Nisar Akhtar

bahut dil kar ke honton ki shagufta taazgi di hai
chaman maanga tha par us ne b-mushkil ik kali di hai

mere khilwat-kade ke raat din yoonhi nahin sanware
kisi ne dhoop bakshi hai kisi ne chaandni di hai

nazar ko sabz maidaanon ne kya kya wusaaten bakhsheen
pighalte aabshaaron ne humein darya-dili di hai

mohabbat na-rava taqseem ki qaael nahin phir bhi
meri aankhon ko aansu tere honton ko hasi di hai

meri aawaargi bhi ik karishma hai zamaane mein
har ik darvesh ne mujh ko duaa-e-khair hi di hai

kahaan mumkin tha koi kaam hum jaise deewano se
tumheen ne geet likhwaaye tumheen ne shaayri di hai

बहुत दिल कर के होंटों की शगुफ़्ता ताज़गी दी है
चमन माँगा था पर उस ने ब-मुश्किल इक कली दी है

मिरे ख़ल्वत-कदे के रात दिन यूँही नहीं सँवरे
किसी ने धूप बख़्शी है किसी ने चाँदनी दी है

नज़र को सब्ज़ मैदानों ने क्या क्या वुसअतें बख़्शीं
पिघलते आबशारों ने हमें दरिया-दिली दी है

मोहब्बत ना-रवा तक़्सीम की क़ाएल नहीं फिर भी
मिरी आँखों को आँसू तेरे होंटों को हँसी दी है

मिरी आवारगी भी इक करिश्मा है ज़माने में
हर इक दरवेश ने मुझ को दुआ-ए-ख़ैर ही दी है

कहाँ मुमकिन था कोई काम हम जैसे दिवानों से
तुम्हीं ने गीत लिखवाए तुम्हीं ने शाइरी दी है

- Jaan Nisar Akhtar
1 Like

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari