zindagi ye to nahin tujh ko sanwaara hi na ho | ज़िंदगी ये तो नहीं तुझ को सँवारा ही न हो

  - Jaan Nisar Akhtar

zindagi ye to nahin tujh ko sanwaara hi na ho
kuchh na kuchh ham ne tira qarz utaara hi na ho

dil ko choo jaati hai yun raat ki awaaz kabhi
chaunk uthata hoon kahi tu ne pukaara hi na ho

kabhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer
sochta hoon tire aanchal ka kinaara hi na ho

zindagi ek khalish de ke na rah ja mujh ko
dard vo de jo kisi tarah gawara hi na ho

sharm aati hai ki us shehar mein ham hain ki jahaan
na mile bheek to laakhon ka guzaara hi na ho

ज़िंदगी ये तो नहीं तुझ को सँवारा ही न हो
कुछ न कुछ हम ने तिरा क़र्ज़ उतारा ही न हो

दिल को छू जाती है यूँ रात की आवाज़ कभी
चौंक उठता हूँ कहीं तू ने पुकारा ही न हो

कभी पलकों पे चमकती है जो अश्कों की लकीर
सोचता हूँ तिरे आँचल का किनारा ही न हो

ज़िंदगी एक ख़लिश दे के न रह जा मुझ को
दर्द वो दे जो किसी तरह गवारा ही न हो

शर्म आती है कि उस शहर में हम हैं कि जहाँ
न मिले भीक तो लाखों का गुज़ारा ही न हो

  - Jaan Nisar Akhtar

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari