aaj muddat mein vo yaad aaye hain
dar o deewaar pe kuchh saaye hain
aabgeenon se na takra paaye
kohsaaron se to takraaye hain
zindagi tere hawadis ham ko
kuchh na kuchh raah pe le aaye hain
sang-rezon se khazf-paaron se
kitne heere kabhi chun laaye hain
itne mayus to haalaat nahin
log kis vaaste ghabraaye hain
un ki jaanib na kisi ne dekha
jo hamein dekh ke sharmaae hain
आज मुद्दत में वो याद आए हैं
दर ओ दीवार पे कुछ साए हैं
आबगीनों से न टकरा पाए
कोहसारों से तो टकराए हैं
ज़िंदगी तेरे हवादिस हम को
कुछ न कुछ राह पे ले आए हैं
संग-रेज़ों से ख़ज़फ़-पारों से
कितने हीरे कभी चुन लाए हैं
इतने मायूस तो हालात नहीं
लोग किस वास्ते घबराए हैं
उन की जानिब न किसी ने देखा
जो हमें देख के शरमाए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading I Miss you Shayari Shayari