hausla kho na diya teri nahin se hum ne | हौसला खो न दिया तेरी नहीं से हम ने - Jaan Nisar Akhtar

hausla kho na diya teri nahin se hum ne
kitni shiknon ko chuna teri jabeen se hum ne

vo bhi kya din the ki deewaana bane firte the
sun liya tha tire baare mein kahi se hum ne

jis jagah pahle-pahl naam tira aata hai
dastaan apni sunaai hai wahin se hum ne

yun to ehsaan haseenon ke uthaaye hain bahut
pyaar lekin jo kiya hai to tumheen se hum ne

kuch samajh kar hi khuda tujh ko kaha hai warna
kaun si baat kahi itne yaqeen se hum ne

हौसला खो न दिया तेरी नहीं से हम ने
कितनी शिकनों को चुना तेरी जबीं से हम ने

वो भी क्या दिन थे कि दीवाना बने फिरते थे
सुन लिया था तिरे बारे में कहीं से हम ने

जिस जगह पहले-पहल नाम तिरा आता है
दास्ताँ अपनी सुनाई है वहीं से हम ने

यूँ तो एहसान हसीनों के उठाए हैं बहुत
प्यार लेकिन जो किया है तो तुम्हीं से हम ने

कुछ समझ कर ही ख़ुदा तुझ को कहा है वर्ना
कौन सी बात कही इतने यक़ीं से हम ने

- Jaan Nisar Akhtar
0 Likes

Faith Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Faith Shayari Shayari