tumhaare jashn ko jashn-e-firozaan ham nahin kahte
lahu ki garm boondon ko charaaghaan ham nahin kahte
agar had se guzar jaaye dava to ban nahin jaata
kisi bhi dard ko duniya ka darmaan ham nahin kahte
nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi
kisi bhi husn ko husn-e-faraavaan ham nahin kahte
kisi aashiq ke shaane par bikhar jaaye to kya kehna
magar is zulf ko zulf-e-pareshaan ham nahin kahte
na boo-e-gul mehkati hai na shaakh-e-gul lachakti hai
abhi apne gulistaan ko gulistaan ham nahin kahte
bahaaron se junoon ko har tarah nisbat sahi lekin
shaguft-e-gul ko aashiq ka garebaan ham nahin kahte
hazaaron saal beete hain hazaaron saal beetenge
badal jaayegi kal taqdeer-e-insaan ham nahin kahte
तुम्हारे जश्न को जश्न-ए-फ़रोज़ाँ हम नहीं कहते
लहू की गर्म बूँदों को चराग़ाँ हम नहीं कहते
अगर हद से गुज़र जाए दवा तो बन नहीं जाता
किसी भी दर्द को दुनिया का दरमाँ हम नहीं कहते
नज़र की इंतिहा कोई न दिल की इंतिहा कोई
किसी भी हुस्न को हुस्न-ए-फ़रावाँ हम नहीं कहते
किसी आशिक़ के शाने पर बिखर जाए तो क्या कहना
मगर इस ज़ुल्फ़ को ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ हम नहीं कहते
न बू-ए-गुल महकती है न शाख़-ए-गुल लचकती है
अभी अपने गुलिस्ताँ को गुलिस्ताँ हम नहीं कहते
बहारों से जुनूँ को हर तरह निस्बत सही लेकिन
शगुफ़्त-ए-गुल को आशिक़ का गरेबाँ हम नहीं कहते
हज़ारों साल बीते हैं हज़ारों साल बीतेंगे
बदल जाएगी कल तक़दीर-ए-इंसाँ हम नहीं कहते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Aankhein Shayari Shayari