mujhe maaloom hai main saari duniya ki amaanat hoon
magar vo lamha jab main sirf apna ho sa jaata hoon
main tum se door rehta hoon to mere saath rahti ho
tumhaare paas aata hoon to tanhaa ho sa jaata hoon
main chahe sach hi boluun har tarah se apne baare mein
magar tum muskuraati ho to jhoota ho sa jaata hoon
tire gul-rang honton se dahakti zindagi pee kar
main pyaasa aur pyaasa aur pyaasa ho sa jaata hoon
tujhe baanhon mein bhar lene ki khwaahish yun ubharti hai
ki main apni nazar mein aap rusva ho sa jaata hoon
मुझे मालूम है मैं सारी दुनिया की अमानत हूँ
मगर वो लम्हा जब मैं सिर्फ़ अपना हो सा जाता हूँ
मैं तुम से दूर रहता हूँ तो मेरे साथ रहती हो
तुम्हारे पास आता हूँ तो तन्हा हो सा जाता हूँ
मैं चाहे सच ही बोलूँ हर तरह से अपने बारे में
मगर तुम मुस्कुराती हो तो झूटा हो सा जाता हूँ
तिरे गुल-रंग होंटों से दहकती ज़िंदगी पी कर
मैं प्यासा और प्यासा और प्यासा हो सा जाता हूँ
तुझे बाँहों में भर लेने की ख़्वाहिश यूँ उभरती है
कि मैं अपनी नज़र में आप रुस्वा हो सा जाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Nigaah Shayari Shayari