ham se bhaaga na karo door ghazaalon ki tarah
ham ne chaaha hai tumhein chaahne waalon ki tarah
khud-b-khud neend si aankhon mein ghuli jaati hai
mahki mahki hai shab-e-gham tire baalon ki tarah
tere bin raat ke haathon pe ye taaron ke ayaagh
khoob-soorat hain magar zahar ke pyaalon ki tarah
aur kya is se ziyaada koi narmi bartoon
dil ke zakhamon ko chhua hai tire gaalon ki tarah
gungunaate hue aur aa kabhi un seenon mein
teri khaatir jo mehakte hain shivaalon ki tarah
teri zulfen tiri aankhen tire abroo tire lab
ab bhi mashhoor hain duniya mein misaalon ki tarah
ham se mayus na ho ai shab-e-dauraan ki abhi
dil mein kuchh dard chamakte hain ujaalon ki tarah
mujh se nazrein to milaao ki hazaaron chehre
meri aankhon mein sulagte hain sawaalon ki tarah
aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila
chand sikke hain mere haath mein chhaalon ki tarah
justuju ne kisi manzil pe thehrne na diya
ham bhatkte rahe aawaara khayaalon ki tarah
zindagi jis ko tira pyaar mila vo jaane
ham to naakaam rahe chaahne waalon ki tarah
हम से भागा न करो दूर ग़ज़ालों की तरह
हम ने चाहा है तुम्हें चाहने वालों की तरह
ख़ुद-ब-ख़ुद नींद सी आँखों में घुली जाती है
महकी महकी है शब-ए-ग़म तिरे बालों की तरह
तेरे बिन रात के हाथों पे ये तारों के अयाग़
ख़ूब-सूरत हैं मगर ज़हर के प्यालों की तरह
और क्या इस से ज़ियादा कोई नरमी बरतूँ
दिल के ज़ख़्मों को छुआ है तिरे गालों की तरह
गुनगुनाते हुए और आ कभी उन सीनों में
तेरी ख़ातिर जो महकते हैं शिवालों की तरह
तेरी ज़ुल्फ़ें तिरी आँखें तिरे अबरू तिरे लब
अब भी मशहूर हैं दुनिया में मिसालों की तरह
हम से मायूस न हो ऐ शब-ए-दौराँ कि अभी
दिल में कुछ दर्द चमकते हैं उजालों की तरह
मुझ से नज़रें तो मिलाओ कि हज़ारों चेहरे
मेरी आँखों में सुलगते हैं सवालों की तरह
और तो मुझ को मिला क्या मिरी मेहनत का सिला
चंद सिक्के हैं मिरे हाथ में छालों की तरह
जुस्तुजू ने किसी मंज़िल पे ठहरने न दिया
हम भटकते रहे आवारा ख़यालों की तरह
ज़िंदगी जिस को तिरा प्यार मिला वो जाने
हम तो नाकाम रहे चाहने वालों की तरह
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Good night Shayari Shayari