sau chaand bhi chamkengi to kya baat banegi | सौ चाँद भी चमकेंगे तो क्या बात बनेगी

  - Jaan Nisar Akhtar

sau chaand bhi chamkengi to kya baat banegi
tum aaye to is raat ki auqaat banegi

un se yahi kah aayein ki ab ham na milenge
aakhir koi taqreeb-e-mulaqaat banegi

ai naavak-e-gham dil mein hai ik boond lahu ki
kuchh aur to kya ham se mudaarat banegi

ye ham se na hoga ki kisi ek ko chahein
ai ishq hamaari na tire saath banegi

ye kya hai ki badhte chalo badhte chalo aage
jab baith ke sochenge to kuchh baat banegi

सौ चाँद भी चमकेंगे तो क्या बात बनेगी
तुम आए तो इस रात की औक़ात बनेगी

उन से यही कह आएँ कि अब हम न मिलेंगे
आख़िर कोई तक़रीब-ए-मुलाक़ात बनेगी

ऐ नावक-ए-ग़म दिल में है इक बूँद लहू की
कुछ और तो क्या हम से मुदारात बनेगी

ये हम से न होगा कि किसी एक को चाहें
ऐ इश्क़ हमारी न तिरे सात बनेगी

ये क्या है कि बढ़ते चलो बढ़ते चलो आगे
जब बैठ के सोचेंगे तो कुछ बात बनेगी

  - Jaan Nisar Akhtar

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari